Muhabbat
Sath mein parhte the, kuch khaas nahi tha,
Ek dusre se mohabbat ho gayi, bas yun hi saath saath mein.
Bahane bahane se baatein hoti thi, subah shaam mein,
Ankho mein ankhen dalke dekhte the, chhup chhup ke raaz raaz mein.
Chemistry ke paper se shuru hui thi, kahani anjaam mein,
Jab peeche morke dekhti thi tumhe mein !
Ghar jaake w******p pe message krke block kya tha mene
aur i********: account dediya tha follow krwaya tha mene
Physics ke paper ke bahane se, chhupi rustam nikli mein,
Insta pe shuru hua hamara rishta, chori chori, pyaar se.
10 January ko hum agay, rishte mein “marain” ke naam mein,
Dil ke darwaze par dastak di, mohabbat mein ay.
Sochke bethi thi, ghum honge bas zindagi mein,
Har pal ek naya toofan, kyun khada hota hai raho mein.
Kabhi socha na tha, itni saadgi mein,
Khushiyan bhi milengi, rahon mein
Aapke aane se hai badla, yeh manzar,
Zindagi ab lagti hai, ek khubsurat safar.
Pencil se kursi ko bajate the, awaaz aati thi taak mein,
Maine daant ke kaha tha cheen loongi, tum hans diye shaan mein.
Kitaabon ke panne palat-te gaye, waqt ka pahiya chalta raha,
Tumhari woh muskurahat mein, mere har sawaal ka jawab mila.
Physics ki is kitaab mein, na sirf sawaalon ka hal tha,
Tumhari dosti ka ehsaas bhi, har ek safhe mein chhup kar pal tha.
Kitab-e-Physics mangi thi tumse, samajh na aaya kaise bulao mein
Mushkil thi raah, par tumne suna, 'hshh hshhh suno suni ,' keh diya mene .
Teen maheene hone ko aaye, sath mein bitaye har din,
Mohabbat aur nhi gehri ho gayi, bas yun hi sath sath mein.